Some Lines....

dosti masoom thi ya dost
jaan na kisko tha
samajhdari thi pallu mein duniya bhar ki
par samajhna kisko tha
dil mein thi bahut baatein kehne ko
par saamne us waqt dost nhi samaaj ka koi bashiinda tha
ye maan na kisko tha
fikr thi usko meri maa jaise ye bhi sach tha
karna chahti thi wo meri har mushkil ka hal jab na bhi ho wo paas mere
lekin uski jagah lene wali ka khayal kisko tha
zindagi mein aage kya hoga ye sab tae ho rha tha
lekin us pal ke aage ka ehsaas kisko tha
us besh kimti pal ki kaid mein ek zindagi ka sukoon to tha
apni bandagi mein usko bandhna bemani lga achanak
uske aage har gya, samaj ke usool maan gya
vaise bhi jeetna kisko tha ....

Comments

Post a Comment

Popular Posts